Shinakht [Identity]
Failed to add items
Add to basket failed.
Add to Wish List failed.
Remove from Wish List failed.
Follow podcast failed
Unfollow podcast failed
Buy Now for $17.99
No valid payment method on file.
We are sorry. We are not allowed to sell this product with the selected payment method
-
Narrated by:
-
Surjan Singh
-
By:
-
Vipin Tiwari
About this listen
Intezar ki almari se kuchh yaadein nikal kar aati hai. Unhe samet-te hue kuchh lamba waqt guzar jaata hai. Jahan se mud kar dekho to pata chalta hai ki kayi hisse peechhe chhoot gaye hai. Hum waqt ko sambhalte hue aage badhna shuru kar dete hai aur waqt hamare har kadam ko jodta jaata hai hamare beete se. Lekhak beeta hua kuchh sametne ki koshish ki hai. Is khayal mein kayi khayal beet gaye, aur kuchh rah gaye dimaag ke aas paas kahin. Jo dimaag mein rah gaya, use lekhak shabd-ba-shabd bahar utarna chaha. Ye kahaniyan lekhak ke mann se aise hi nikli hai, ki agar uske har ek tukde ko jod liya jaaye to woh phir se lekhak ka mann ban jayega. In kahaniyon ke aage ek duniya hai aur inke peechhe ek sadi beet chuki hai. Lekhak ko lagta hai ki is kitab mein shamil kahaniyan tab likhi gayi hai jab inhe likha jaana tha. Koi mauka nikalkar inhe likhna beimani hoti, aur isliye ye pathak ke samne ekdum se asal chehra liye hue hai. Bachpan ke kuchh saal lekhak apne pitaji ke saath chai ki dukan chalaye the. Wahan rehte hue lekhak insaani dimaag ko padhna seekh liya tha. Yah kahaniyan lekhak ki vyaktigat diary ke panno jaisi hai, aur lekhak in kahaniyon ko likhte waqt sochte rahte the ki jab pathak ise padhenge to yah unko kaisa lagega. Isi soch mein lekhak is diary ko pathakon ke paas chhod rahe hai, kyunki kuchh diary-aan akele mein padni hoti hai.
Please note: This audiobook is in Hindi.
©2019 Vipin Tiwari (P)2020 Audible, Inc.